The Grain of the Land
January 20, 2023
CHILDHOOD
BACHPAN KI YAD💖
BACHPAN KI YAD💖
Everyone has lots of memory about childhood and everyone has their own story. Here i am just recalling some memory from everyone's childhood..😍
❤Wo har din ki Masti, na Kisi ka tension, na koi jimedari. Bahut khushiyon wala din tha na wo, har chij asan lagti thi........ jab chhote the to lagta tha kab bade ho, jab bade ho gaye to lagta h kash chhote hi hote. Lekin hame pata h, wo din to wapas ane wala nhi h. Par phir bhi jab wo din yad ate h to apne ap hi chahre pe ek muskan aa jati h.......................
Log kahte h Bade hone pe log badal jate h or log sahi bhi kahte h kyonki hum apne aas pas ke logon or chijon ko badlte huye mahsoosh karte h, lekin hum khud pe dhyan nhi dete,hum dusron ke badle huye savbhav ko to dekh lete h per khud ke badle huye savbhav ko nhi dekh pate, hum bhi to badal jate h dusron ke liye......sayad jo masumiyat hoti h bachpan me, wo aj ke jindagi or bhagambhag ke bojh tale dab jati h.....Bachpan me kitni bate kiya karte the, na kisi se darte the, or hamesha confident rahte the, lekin aj hum khud ko hi nhi pahchante ki hum kya h or kya karna chahte h, or ek confusion bhari jindagi jee rahe h. Aj khud ko hi nhi pata h ki hame karna kya h life me. Bas dusron ke sapno ke peechhe bhag rahe h or us sapne ko apna spana bana liya h humne, kyonki hum sochte h agr koi or iss chij se khus h to hum bhi agr ye kar le to hum bhi khush ho jayenge lekin ye to sach nahi h, kyonki agr wo chij mil bhi jati h phir bhi insan khus nahi hota..........lekin longo ki bhi galti nhi h,( now this has become like a human nature in which change is important but no one cares that this change is good or bad....... so it depends on person that how he is taking his life...). okk chhoriye ye sab bate, Ab bachpan me chalete h thoda, jindagi ki serious bate khafi ho gayi. Age bhi h thodi si serious batein lekin thoda dheere dheere chalte h.......................
Jo masti jo shaitaniya ki h bachpan me wo to hamesha yad rahti h, bachpan ke wo kisse sunana or yad kar ke hasna kitna maja ata h na. Lekin phir bhi kisi ko apke kisse sun kar hansi aye na aye par jab ap wo bate bol rahe hote ho to wo yaden khudbkhud taje ho jati h or apko jarur hansi aa jati h.................or agr hum bachapan ke kisse dhoondhne lage to sayad wo kabhi khatm hi na ho...........
Bhai,bahan ka kitna payara rista hota h na,usme jhagde,masti,care,love sab hote h. Jisme se kuch kisse jaise,apne se Chhote bhai ,bahan ko pareshan karna, chhote ka jhooth bol kar,parents se badon ko mar khilana ye to amm bat hoti thi bachpan me...... Phir bhi agr Koi dusra hath laga de khud ke bhai bahan per to jang chhed dete the..kitna pyara lagta tha na wo wakt, jab bhai bahan ek dusre ke liye concern dikhate the,ek dusre ka khyal rakhte the kabhi koi chot nhi ane dete the lenkin Aj ke time me wo khud ek dusre ko chot pahunchate h,paray samjhte h.............. Lekin koi kuch kar bhi nhi sakta, it's a human nature.
Kitne mashumiyat bhare din the na wo............bahut sari chije h bolne ko jaise,bachpan me chhoti chhoti bat me gussa ho jana, nkhare dikhana ye to nishani thi bachpan ki.Hum abhi bhi nakhre karte h gussa dikhate h per ab wo masumiyat kyon nahi hoti jo bachpan me hua karti thi .... Naye dost banana kitna asan hota tha na,wo kya h,mai kya hoon koi fark nhi tha bas hum ek dusre me apna pan dhoondte the. Aj bhi hum ye sari chije bhoole nhi h per ab phayde nuksan jayada dekhne padte h dost banane ke liye, chah kar bhi hum khul kar dost nhi bana sakte. kyonki usme dhoka khane ka dar nuksan ka dar hota h ab. Aj ke log businessman hote h jo riston me bhi business karte h.......... Lekin jo aj bhi sachhi dosti se blessed h wo sahi me bahut khusnaseeb h kyonki ase log bahut kam hi milte h....
Or bhi kitni sare yade h jo yad to h per wakat ke sath dhondhale se pad gaye h.........
Subah hote hi khelne ke liye dudna ,school jane me nakhre karna. Maa aj mujhe ye nhi khana wo nahi khana or nakhre dikhana ye sab to normal the. kaun sochta tha us wakat ki ye karne se kya hoga ya wo karne se kya hoga....us wakat to apna raj tha apni duniya me........... Na koi dikhawa na koi jhoot Hum to hote the sher,kaun darta tha kisi se.................
kitni sari aisi yande h na jo jab yad karo chahre pe muskan aa jati h or aj bhi hum khud ko dhoondhte h un yadon me.................................
pata nahi abhi wo bachapn kanha chala gya log jaise jaise bade hone lage apne parayon ka matlab samjh ane laga h............kaun apna h kaun paraya h,kisse mujhe phayada h kisse nukshan.Bachpan me to aisa nhi tha,kaun phayada dekhta tha dosti me,kitne sukun bhare din the wo.....
Bahut yad ati h uss bachpan ki jab,chot lagne pe maa ke pas daud ke jana or rone lagna...Har bat pe maa ko dhoondhna,sara kam maa se krwana or jab papa se dant mile to maa ke pichhe jake chhip jana.... jab kuch chahiye ho to maa ko bolna, papa se bol ke ye dila do na ma....homwork na karne ke liye natak karna,result pe sign karane ke liye kitni koshis karna bina dant sune,doston ke har idea ko apply karna or phir dant sunana....kuch pane ke liye achhe marks lane ki jidd hona kyonki papa ne kaha h agr ye chahiye to itna marks la ke dikha..............lekin na la pane se udas hokar baith jana or dant sunana.......... Phir bhi bahut payara time hota tha na wo..................
Lekin, ye sari mashumiyat kanhi kho gayi h aj ke jamane me............. Aj ke jo bacche h wo bhi apne duniya me limited ho gaye h, naye naye technology develop ho gayi h, kisko matlab h ab longo se. Aj ke bachhe apni us chhoti si duniya me hi bade hote h..........Aj ke bachhon ka bachpan kanhi kho sa gya h. Janha pahle entertainment ke liye kuch nahi hota tha to bachhe khelne ke liye bahar aa jya karte the lekin ab sare entertainment ki chije ghar me hi h, kaun nikalna chahega wanha se...........Aj ke parents apne kam me busy rahte h kaun dhyan deta h apne bachhon me...........bas bade ho ja rahe h bache or duniyadari bachpan me hi sikh le rahe h, unhe abhi se hi apne paraye ka fark samjh ane laga h.....Lekin kiske pas time h in sab baton pe dhyan dene ka........ ye sabke liye chhoti chijen h kyonki aj ke jamane me aisa banana jaruri h..............
Lekin us Bachapan ki bahut yad ati h jo dur chali gayi,kash log bachapan ka sahi matlab samjh paye,or bachpan ko lane ki koshi
Words)
Publish Changes Cancel

Lekin us Bachapan ki bahut yad ati h jo dur chali gayi,kash log bachapan ka s